The Glenwalk: Bollywood celebs filmon me kaam karne ke sath apne side me kuch na kuch business jaroor karte hai taki aage chalkar jab unke pass filme na ho toh unhe kisi chiz ki kami na ho. Iss wajah se hi jab celebs acting karna shuru karte hai to early age me hi cheezon me invest kar dete hai. Kai celebs ne apna restaurant khol rakha hai toh kai ne beauty produces ki company khol li hai. Bollywood ke Sanju Baba ne bhi bite saal Shraab ke business me invest kiya the. Jiski ek saal ki kamai sunkar hi har koi chounk gaya hai. Sanjay Dutt ne apna scotch whiskey brand launch kiya tha jiska naam The Glenwalk Hai (Sanjay Dutt Whisky Brand. Yeh cortel and brothers ke launch kiya hua brand hai. Isme Beete Saal hi Sanjay Dutt ne badi rakam ke sath invest kiya tha.
Kamai Sunkar Chaunk Jayenge Aap
Sanjay Dutt ki whiskey ko launch hue jyada samay nahi hua hai phirr bhi isne market me kamaal kar diya hai. Sanjay Dutt ke naam ki wajah se log ise lekar jyada attract ho rhe hai. The Glenwalk ki aapko ek saal ki kamai ke bare me batate hai. Reports ki mane toh The Glenwalk ki kamai char mahine me 1,20,0000 bottle bik gayi thi. Mumbai, Pune aur Thane me iss whiskey ki sabse jayada kamai hui hai. Wah chaar mahine me 19.20 Crores Rupaye ki kamai kar chuke hai. Company ka target hai ki agle financial year tak unhe 2.8 million bottle bechni hai. Agar Whiskey ki kamai aise hi chalti rahi toh yeh target bhi pura karna jyada mushkil nahi hai.
Itni Hai Keemat
The Glenwalk ki keemat ki baat kare toh ek bottle 1550 rupaye se 1600 rupaye ki hai. Iski kam keemat ki wajah se hi log ise asaani se kharid paa rhe hai. Sanjay Dutt se pahle diggaj actor Danny Danzoppa ne bhi sharaab ke business me invest kiya hai. Unki Yuksom Breweries naam ki company hai jo alag alag trah ki beer banati hai.
Aur Entertainment Ki News Ke Liye Jude Hamari Website Ke Home Page Par